Wednesday 6 June 2012

HAAZIRAT

Assalam o Alaikum wa rahmatullahi wa barakatohu

dostoan e mohtaram !
dil mein shoq aur justajoo amliyat key ikhtiar krney kee ho magar dil gunah ki taraf raghbat rakhne wala ho, namaz se kinara kash raho, ikhlaq bad hon, zuban se har waqt fazool kalam nikley ye nishanyan amal mein qaleel aur rooh k kamzor honey ki hein, mera zati mannana hey key jab tak ap log apney qal aur rooh ko muattar aur mutahir nahi kartey amil e kamil hona mushkil hey. Aam mushaahey ki bat hey k kehny ko amil bht se mil jayngey bazar aur market mein jo amliyat k naam par dhanda kr rhey aur awam ko na sirf gumrah kar rahey hein balkeh barah e raast unki jebon par daaka dala jata hey, (meri murad wo alaa sifat ki amileem hargiz nahi jo awam ki such mein khidmat b kar rhey hein) aur agar isi ko wo apna shagird ya mureed karein to bajaye us ko sikhaney ya tarbeyat karney key peeraan aur amileen hazrat ki nazar uski kamai aur jaib par hoti hey dosto esy sahiban se na sirf bachna aap sb par laazim hey balkeh darust simt mein rahnumaye karney walun key sath apni nashist aur unkey sath sangat rakhein kiun keh kisi sufi bazurg ne farmaya hey
bey qadra de yaari ewein jewen dukan lohara     
kaprey pawein punj punj bawye, par chinga pein hazaran
tey dard mandan de yaari ewein, jewein dukan attaran  
soda pawein laye na laye, hully milan hazaran   

بے درداں دی یاری ایوں جیویں دوکان لوہاراں
کپڑے پانویں پنج پنج بیٹھئیے چنگاں پین ہزاراں
دردمنداںدی یاری ایوں جیویں دوکان عطاراں
سودا پانویں لئیے نہ لئیے پر ھلے ملن ھزاراں

so is liye, har us shakhs ka mamool esa ho k jahan se b haq aur such ki awaz buland ho us ka sath dein aur uska daman aur sangat aur dost kisi qeemat aur kisi haal mein b na chorein. tmheedi gulfagoo kuch lambi ho gaye, bht se log apney amraaz, ittelay ghaib, chori, sehat yaabi ka waqt, gumshuda ki maloomat aur is tarah ki bht se maloomat lena chahtey hein, is tarah ki maloomat janney k liye amliyaat mein bohat se zaraye k ilawa jis cheez se kaam liya jata hey us haazirat kehtey hein. mein aaj Soorah Muzzamil Shareef se Haazirat k mozoo par thoara sa izhar karna chahta hon

Soora Muzzamil Shareef se honey wali haazirat boht hi ba quwat aur ba asar hoti hein. is soorah shareef key mu'akalat qaari ko boht pazeerai ataa kartey hein aur har poochney wala sawal boht achey aur wazeh tareeqye se ayan kr detey hein. Khasoosan jo maloomat lee ja sakti hein un mein jin bhoot asaib se nijaat ka tareeqa, marz aur mareez k barey mein poochna, kisi gumshuda k barey mein sawal krna, alam e arwaah ki sair krna waghera waghera shamil hein. is ki lazmi shart iski zakat ada krney ki hey jiska tareeqa neechey likha hey

Shuru krney ka waqt:
naye qamri maheeny ke  kisi bi pehly 10 din mein shuru krein.
Muddat: 41 roz
Waqt: Baad Namz e Eisha
Parhai Aur Tadad: Soorah Muzzamil 41 baar rozana
Parhez: Mukamal Jalali wa Jamali
 
Baqya Sharayet: Baa Hisaar + aik he libas + aik he waqt + qibla rukh + Awwal Aakhhir 11 , 11 baar darood e ibraheemi + koi doosra banda amal parheney wali jaga par na aye + jaga parhai k waqt ba khushboo rahey ood wa ambar se

Jo dost is amal ko shuru karna chahein ya mazeed maloomat lena chahein wo raabta kar saktey hein


(Syed Sa'adat Ali Shah Geelani Qadri)