Saturday 20 October 2012

TARBIYAT (1)


un tmam naye sathiyun aur behno ko mubarak baad jo roohaniyaat aur tasawuf k safar mein shareek huwey hein. un tmam doston ko Hazrat Wala Shan ki sangat aur sohbat mubarak: 
KHUSHKHABRI: bohat jald Hazwat Wala Shan ki new post un doston k liye jinho ny shah sahib ki zair e nigraani tarbyat ka aghaaz kia hey
jis mein new wazaif aur wird b diye jayiengy jis se khuli ankho se apko apni zindagi aur mamoolaat mein tabdilyaan nazar ayingi.

Monday 8 October 2012

WE ARE WITH YOU

Dear Readers ! after a long long absence, 
we are again in all of you.

لمبی رخصت کے بعد تمام تر قارئین سے
 معزرت کے ساتھ ایک بار پھر ہم حاضر ہیں

Thursday 28 June 2012

ZAKAT E HAROOF


نعت رسالت مآب صلی اللہ علیہ وآلہ و صحبہ و بارک وسلم
اللہ کا لاکھ لاکھ احسان در احسان ک اس نے ہمیں اس نبی رحمت صلی اللہ علیہ وسلم کی امت کا فرد بنایا کہ جس کی خدامی کرنے پرنہ صرف خود ملائکہ قطار اندر قطار دست بستہ کھڑے ہیں بلکہ وہ نبی رشک انبیاء بھی ہے ۔ وہ نبی کہ جس کے انداز استراحت رب کو اتنا بھاتے ہیں کہ وہ نبی علیہ الصلوۃ السلام کے انہی انداز کو یا ایھاالمدثر کہہ کر لفظ قسم قرار دے دے۔ ایسی شان والا نبی کہ جس کی ذات کے تعلق کو رب اس قدر شان عطاء کرے کے لا اقسم بھِذا البلد کہہ کر مکہ شہر کو پاک و مطہر اور قابل قسم بنا دے آفرین اس لازوال محبت پر کہ قسمیںبھی وہ ہستی کھارہی ہے جو قسموں سے پاک۔ جو لفظوں کے استعمال سے پاک۔ جو مثال سے پاک جو تمثیل سے پاک۔ مگر اپنے نبی کی ذات با برکات اس قدر عزیز ہے کہ جس کی سکونت کو اعزازبخشنےکیلئے خود رب عزوجل کو قسم کھانے سے بھی دریغ کرنا گوارا نہیں۔ دوستو ہماراتو اثاثہ ہی تعلق باالرسول اور عشق رسالت مآب صلی اللہ علیہ وسلم ہے۔ سچ کہوں تو میرا تو تعارف ہی چوکھٹ رسالت مآب ہے۔ اس در کی خیرات کے بغیر ہمارا نہ تو گزارا ہے اور نہ ہی کوئی پہچان ۔ اور یہ در مجھے ہی نہیںبلکہ دوجہاں کو خیرات دے رہا ہے اور اس بے سایہ ذات کی خیرات کے سائے میں دنیائیں پل رہی ہیں ارو ان میں رزق بٹ رہا ہے۔

تعارف
بہت سے ساتھیوں نے حروف تہجی کی ذکوۃ کی بابت پوچھا اور اصرار کیا ہے کہ اس کے بارے میں تفصیل سے بیان کریں ۔  بلاشبہ یہ ایک ایسی زکوۃ ہے کہ جس کے بعد عامل کوئی بھی عمل کرے بفصل تعالیِ یقینی کامیابی اور بوجہ ناکامی و غفلت ہر طرح کی رجعت سے محفوظ ہو جا تا ہے ۔ یقیناً جتنا مشکل عمل ادائیگی  زکاۃ ہے اس سے کہیں زیادہ اس زکاۃ کے بعد ملنے والے مثبت اثرات اور کامیابیوں کی وہ منزلیں ہیں جوکہ ایک عامل کے وہم و گمان میں بھی نہیں ہو سکتیں۔

زکاۃ حروف تہجی
میرا ذاتی باتحقیق قول ہے کہ کامل حروف تہیچی کی زکوۃ بہت ہی با مشقت اور ایک ایسا عمل ہے کہ جس سے خود عامل پر ایک دفعہ تو اکتاہٹ اور بیزاری ظاہر ہو جاتی ہے ۔ کیونکہ کاملن حروف کی زکوۃ ادا کرنے کے لئے جتنا وقت ، جو پابندیاں اور جو لوازمات اس مخصوص زکاۃ کیلئے ضروری ہیں اور جو اساتذۃ نے بیان کئے ہیں میں یہ کہوں گا کہ ان پر عمل کرنا ناممکن تو نہیں مگر سہل بھی اتنا نہیں کہ عامل بخوشی سر انجام دے سکے ۔ اگر میں اسکی شرائط و لوازمات پر بحث کرنا  تو خود ایک الگ موضوع ہے۔ چونکہ قارئین کیلئے میں نے خود اس موضوع کا انتخاب کیا ہے تو میں بغیر کسی پس و پیش کے اور ہر قسم کی علمی گرہ کو کھولتے ہوئے اپنے الفاظ آپکے حوالے کرتا ہوں . ۲۸ جی ہاں اٹھائیس ۔ حروف تہجی تعداد میں ۲۸ ہیں ۔اور ان حروف کے ۲۸ ہی خدام اور موکلات ہیں یعنی ہر حرف کا الگ سے ایک خادم اور موکل ہے جوزکوۃ ادا کردینے کے بعد عامل کیساتھ مانوس ہو جاتے ہیں اور اسکی ہر عزیمت اور ہر دعا اور ہر عمل کے پڑھنے پر خدمت اورہر حکم کی بجاآوری کیلئےہمہ تن گوش اور تیار رہتے ہیں ۔  ہر حروف کی زکاۃ کسی بھی وقت کسی بھی دن دینا ممکن نہیں۔ کسی بھی حرف کی زکاۃ صرف اور صرف اسی حرف کے قمر کی متعلقہ منزل میں ادا کی جاسکتی یے ۔ مثلاً میں اپنے نام کے مطابق حرف ''س'' کی زکاۃ دینا چاہوں تو مجھے یہ دیکھنا چاہیئے کہ حرف س قمر کی کس منزل میں تلاوت کیا جاسکتا ہے۔ تو ہمیں معلوم ہو گا کہ سین قمر کی پندرہویں منزل ''غفرہ'' میں ہے اور جب قمراپنی پندرہویں منزل میں داخل ہو گا تب ہم اس حرف کی تلاوت با موکل کریں گےجو کہ یوں ہے " اجب یا ہمواکیل بحق یا س "

سمجھنے اور یاد رکھنے والی ضروری باتیں

کسی بھی حرف  کی زکوۃ اکبر ۲۸ دن میں ادا کی جاتی ہے اور روزانہ حرف کو ۴۴۴۴ کی تعداد میں تلاوت کرنا ہوتا ہے۔ جس کسی ایک حرف کی زکاۃ دینا ہو۔

۔ کسی بھی صرف ایک حرف کی زکوۃ اصغرکی ادائیگی کیلئے صرف اسی ایک ہی حرف کی تلاوت کرنا ہو گی مگرتعداد وہی رہے گی یعنی۴۴۴۴ ۔ مگر شرط ہے  کہ تلاوت صرف اس حرف کی متعلقہ منزل میںہی ہو

۔3۔اگر کسی ماہ میں آپ نے ارادہ کیا کہ اس ماہ میں 4 حروف کی زکاۃ دیں گے مگر صرف 3 حروف کی زکاۃ دے سکے اور ایک حرف کی زکاہ کسی بھی وجہ سے نہ دے سکے تو تینون حروف کی زکاۃ باطل ہو جائینگی۔

4 - جان لیں کہ ان حروف کی زکاۃ ادا کرنے کے لئے کاملن پرہیز جلالی ی شرط ، شرط اول ہے ۔ اسکی تفصیل بتانا شوقین عوامل کے لئے قطعاً ضروری نہیں۔

جب عامل زکاۃ حروف تہجی ادا کردیتا ہے تو بفضل تعالی اگر اللہ چاہے تو وہ دنیا و مافیہا میں با مراد اور تابندہ اور شامدمان ہوگا اور ہر عمل میں کامیابی اسکی دوگاہ کے فاصلے پر ہوگی 


عارض برائے دعا سید سعادت علی شاہ گیلانی قادری
saadat.gillani@yahoo.com

Friday 22 June 2012

ZAKAT E ISME ELAHI -

                     Alhamdlillah i Rabbil alameen, 
     Wassalat o Wassalam alaikaya Sayydil Mursaleen
Mohtaram qarayeen !!!
Allah ta’alaa ka laakh laakh ehsan keh us ne hamein aik esi shab ataa farmeyi keh jis mein ibadat o zikar allah karna itnee fazeelat rakhta hey keh jis par tamam ambiyaa ki ummatein rash karein. Aur Khud khudaye azzawajal apni shaan key mutabiq asmaney dunya par tashereef latey hein aur apney bando ko nidaa detey hein keh hey koi jo aaj ki raat mujh se mangey aur mein usey ataa karun, hey koi mujhse aulaad ka sawal karney wala mein usey aulad don, hey koi mujhse rizq o rahat talab karney wala keh mein uska sawal poora karun, hey koi mujhse bakhshish mangney wala keh mein usey esa bakhshon aur aisa paak saaf karun key jesey abi key abi paida huwa ho,  hey koi mujhse dosti aur talluq ki khawahish rakhney wala keh mein usey apna raaz dan bana lon. Qissa mukhtasar koi hajat, koi sawal, koi dua esi nahin hoti jo is raat maangi jaey aur poori na ho.

Shab e Bara’at, ji han meri muraad mahey shaban ul moazzam ki 15wein shab , shab e bara’at hi hey, wo shab key jis mein khudaye azzawajal apna ilam farishton par zahir karta hey aur unhein ayinda saal mein aaney waley waqayat, asaaar, hadisaat, amwaat, inayaat, azabaat hatta key sb kuch ayan kar deta hye, aur batata hey keh kon kon dunya mein paida hoga, un tamam afraad key naam likhwa deta hey, kis qaum ki uskey amaal key ba’es pakar hogi, likh deya jata hey, kis qaum ko nawaza jayga tehreer kar dya jata hey, rizq cheenana likh daya jata hey, ataayein likh dee jati hein, jaza o saza, izzat o zillat, har waqya, haraf ba haraf lohey mahfooz par kandaa kar dya jata hey. Aik bat batata chalon, zehan mein ye sawal ata hey key esa har saal kiun hota hey, rab taa’ala  aik hi dafa esa kiun nahin farma detey keh sab kuch qayamat tak likh kar farishton key hawaley kar deyin aur qamayat tak ki rizq, mout, zindagi, jaza, aulad, aur sab kuch aik he dafa kiun likh nahi dya jata, to arz ye hey key aisa karna aur har saal is shab ko dohrana allah apni raza o mansha ki waja se nahi karta balkeh is mein chupa huwa raaz ham insaano ki fitrat ko lazzat e gunah ki taraf mayil hona hey, agar ye shab har saal na aye, to gunaahgaar kahan jayein apney gunaho se muafi mangney, zara wo gumaan to paida karein keh aik taraf aap ka muamla bargaah e azzawajal mein paisha ho aur us mein aynda saal sb milney aur cheeney ka har cheez likhi jaa rahi ho aur aik taraf aap ko bata bhi deya jaye keh wo deikho tmhara rab ye sab kuch likh raha hey, agar chaho ke likha janey wala har hukam aur har amar e khudawandi tmhary haq mein ho to kia ham apna wo waqt shab zinda dari, shabb e baidari, astaghfaar, duaoon, tilawat aur rujoo ill allah mein nahin guzarin gey? yani ham apney haal aur a'amaal se rab ta'aala key hazoor sarapa dua ban kar ye arz kar rahey hon gey keh moula daikh ham to tere aajiz bandey hein, agar too hamari kisi bhool, kisi gunaah, kisi zulm ki waja se naraaz ho kar ham par se apni inayaat uthaney ka faisla karney wala hey to ham us zulm, gunaah aur lazzat e shahwaat se haath uthatey hein aur tere taraf rujoo kartey huwey tujh se muaafi key talabgaar hein hamein muaaf farma aur aynda saal ham par apni inayat o ehsanaaat k silsala yunhi barqaraar rakhna.

baqi tmam ebadaat to log is shab mein zaroor bilzaroor kartey hein, nawafil ki adaiyge, khairat o sadqaat, tasbeehat waghera, tilaawat e quran e pak, darood o naat ki mahafil. is sab andaaz e haaye ibadat to zikr ki fazeelat ko maantey huwey magar is se qata nazr mein is ke fazeelat key hawaly se kuch nawafil mazeed apki nazar karta hoon, iraada to faqat aur faqat is shab ki fazeelat o barkaat key barey mein likhney aur aap tmam ko agaah karney ka tha, magar tawajoh aik dam is taraf chali gaye hey ke is key baad ramzan ki amad amad hey, aik mahol bhi hoga, waqt bhi hoga, ikhlaaqi burayon se parhaiz jaat wesy bhi rozey ki waja se ham pehly hi kar rahey hongey, to kiun na aap ko aik ismaaye elahi ki zakat ada karney ki dawat don keh aap ka amilon aur jadugaron key peechey bhaagna, rizq ki wusa'at key taweez hasil karney, aulad ki talab key amal parhny, malo doulat hasil karney ky chillon se jaan choot jaye.

mein apna mazmoon is baat par khatam karta hon, keh ayin aur asmaaye elahi ki dawat aur wazeefa ki zakat ada karien. keh jis ki adaygee kay bad hamein mazeed kisi aur amal ki chandaan zaroorat na raheyge. apney naam key hisaab ya  apni pasand key ism ka intikhab karein apna wazeefa ka waqt bataein tareeqa kaar parhai ka aap ko mail kar deya jaiga. magar qasman kehta hun jis ne is dawat pe apney kaan dhar liye aur is dawat ko apna liya us ki dojahan mein izzat aur a'ala darjon ki zamanat mein deta hon.

Syed Sa'adat Ali Shah Gillani Qadri

Tuesday 12 June 2012

HAMZAD: Lawazmaat e Amal

Hamnasheeno ! bohat sey dost amal e hamzaad key shoqeen hein aur is baat tak sey waqif nahee hein key qudrat e khudawandi kee yeh makhlooq kis qadar taqatwar aur apni azaadi ko barqaraar rakhney par musir hey. bus aik hee dhun hey key issey musakhar kar lein aur buss. jo makhlooq iss qadar taqauat war ho key jis kaa andaza tak lagana naa mumkin ho to bhala wo aik youm, 7 youm, 21 ya phir sirf 40 youm mein kiunkar qaboo mein aa sakta hey,. jahan tak mera zaati khayal hey jab ham 7 din ka amal shuru kartey hein aur saatwein din tak kaamyaabi kaa door door tak shaiyba na ho, to ham kuch mayoos aur maghmoom se ho jatey hein, yad rakhein yahi khawahish hey hamzaad kee keh wo hamein kamzor iraada daikhna chahta hey, jesey hi 7 din poorey huwey, ham naye aamil aur naye amal ki khoaj mein nikal jatey hein aur koi neya amal azmaaney key liye tayar ho jatey hein. yaad rakhein, aamilon ney jo jo amal hamzaad key liye bayaan kiye hein un sab mein taqreeban 95% darust aur theek hein magar jesa k mein pehley bata chuka amal mein kamyaabi hamarey 3 ya 7 ya 21 din poorey honey mein nahin, balkeh apni quwwat e iraadi ko mazboot rakhney mein hey, zara ghaour farmayein, jo b amal aap ko miley ga hamzad key taskheer ka kisi ney bhee aisa nahi kaha key sirf 7 din amal karein har soorat mein hamzaad hazir hoga, balkeh jitney bhi dino ka amal unho ney deya sabhi ney yahi kaha key iss amal key teen 3 chilley poorey karein phir yeh bhi kaha k allah ko manzoor huwa to hamzaad hazir hoga aur ejaab o qabool key baad tabaiydaaree karga.
mein bohat dafa pehley bhee is baat ka tazkira kar chuka hoon key amley hamzaad jahan apko hamzad ko taskheer karney key baad dunya mein kamyaab tareen insaan bana deta hey, is doulat e bey baha ki sharaiyt bhee utni he karri aur sakhat bhi hein. magar ham sab doston kee aik he ratt hey k 1 ya 2 dino ka amal dey dein, parhaiz bhi koi na ho, mein akaila nahin baith sakta, raat ko zeyada daiyr tak jaag nahi saktaa, ye nahin kar sakta wo nahee kar sakta to dosto aap zindagee key aur baqi masroofeyat ko nibhayein aur maazrat key sath kahoonga keh ap taskheerat ka shouq na farmayein.
mein chahonga keh isi post mein aik tafseel likh don parheiz jaat, pabandyan, bakhoorat, sharaiyt o zawabit baraye amal e hamzad, aur akheer mein aik amal b dey donga. magar saath mein aik guzaarish bhee krunga keh amal ko inhee sharaiyt wa zawabit key saath karein mazeed tafseel chahein to roohani guide key email addresses par rabta karein ya aap comment mein bhee apni mushkil aur sawaal likh saktey hein. bohat zeyada uljhano mein daaley baghair saada, asaan aur wazeh ahkaamat e amal mein apkey samney mukhtasir magar jamey alfaaz mein bayan karney wala hoon, is par hamesha karband rahein.

(musasib laga to in sharayet ki mazeed wazahat b 
kar dee jayga aur isey update bhi kar deya jayga.)

JIN PE AMAL NA KARNEY KI PABANDY HEY:
1. dimaghee amraaz waley mareez, kamzor, beemar, bawaseer key mareez, zakhmi halat 
    wala shakhs, ba'ad feili ki aadat wala shakhs, har waqt haiwaniyaatee fitrat, lazzat e  
    shahwaat aur napak khayalat zehn mein rakhney wala skhs. in tamam afraad mein se koi b 
    amal e hamzad shuru na karey jb tak in pabandiyoon se chuttkara na pa ley.


AMAL SHURU KARNEY SE PEHLY KI SHARAIYT:
1. aamil e hamzad ko chahye ko a'aala ikhlaq apney aur gunaah aur aaiyboon ko apney 
     nazeek na aney dey.
2. aamil e hamzad ko mazboot iraadey aur tawana qalbi quwat wala hona chahye.
3. amal shuru he mat karein agar ye yaqeen na ho key mukammal b kar sako gay ya nahin. ya 
    amal beech mein chhorney ka andesha ho to amal shuru na karna hee behtar hey.
4. apney asaab ko mazboot banayen aap ko dooran e amal khofzada bhe kiya ja sakta hey  
    esa na ho k zara see ahat pe bhee dil esa dharak shuru ho jaye key khuda ki panah. kiun 
    key amal hamzad mein logo ka intaqal bhi ho jata hey, hamzad key nuqsan punchaney kee         waja se nahin, balkeh khud aamil key itna darr janey se key uska heart hee fail ho jata hey         aur jaan se hath dho baithta hey.
5. agar aap ne amal shuru kar deya magar mukammal na keya aur kisi bhee wajah se amal tarak kar deya to hosakta hey hamzad apko nuqsan punhchye.

DOORAN E AMAL PABANDYAN:
1. jis kamrey ya jaga pe aap ye amal shuru karein wahan koi doosra dakhhil na ho, aur wo 
    jaga sirf aap se manoos ho, jab tak aap amal kar rahey hein.
2. shahwaat wa haiwaniyaat se mukammal parhaiz
3. kalaam, manaam ta'aam, kam kar dey. (guftagoo, sona aur khana), kaam khaye aur esa 
    khaye jo zood hazam ho, takeh tabeyat pe bojh na baney. raat ko amal parhna hey to din ko 
    so liya karey taakeh raaz mein neend ka ghalbaa amal mein rukawat na daaley.
4. doraan e amal khooshbooyaat aur bakhoorat har soorat jalti rahein.
5. amal k barey mein ya hamzaad key barey mein bilkul bhee apney dil mein shak paiyda na 
     honey dein.
6. apna sabaq jo b aapney parhna hey uska waqt, libaas, simt aik hee rahey, baldein mat.
7. ghusa, larai, jhagra,  aib joee, gheebat waghera sb se parhaiz karein aur kitaboon key 
     mutaliya hee apna shughal rakhein jo keh behtreen hey.

4. apna amal ya azeemat ko theek se parhein zair zabar ki ghalti na ho.
5. mukammal parhez jalali rakhein, agar nibgha sakein to roza b izaafi tour par behtar hey magar kam az kam parhaiz jalali zaroori hey



EHTAYATI TADABEER DORAAN E AMAL E HAMZAD
 1. dooran e amal apko hamzad dhokey dega, darayga, khawah makhah ki masroofeyaat 
     janam lein gee, ye sab kuch hamzad ki taraf se hoga takeh aap apna amal tarak kar dein
2. apney amal e hamzad ko sab se posheeda rakhein. aur kisi se bhee iska tazkara na karein 
    keh aap hamzaad ko musakhir karney ka amal kar rahey hein. siway apney peero murshid  
    ya us shakhs key jis se aap bazahir rahnumayee ley rahey hon
3. apka amal jitney din ka bhi ho wo pehla chilla kehlaye ga, so pehley chilley mein hamzad 
    haazir ho b jaye to agar aap key din aur tadaaad poori nahi huwi to apney ne akalm nahi 
    karna. chahey hamzad kuch bhe ap ko kahey jisey mein khud aa gaya hon, tmhein ab amal 
    karney ki zaroorat nahin waghera waghera
3. kisi bhi amal k bataye gaye dino ko pehla chilla maney, aur agar pehly chilly mein hee 
    hamzad zahir hota hey to thek warna usee amal key 3 chilley lazim karein teesry chilley mein 
    zaroor ajata hey hamzad
4. apna hisaar laazmi karein
5. agar shama jaalaa kar ya chiraagh jalana maqsood ho to sarson ka tail istemal mat karein, balkeh koi khoshboo wala jesey chanbeli ka tail istemal karein.
6. hamzad haazir ho jaye to us se sharaif soch samjh kar tey karin, uski koi shart na maney balkey uski shart ko apney liye mazeed asaan kartey jayein, usey koi etiraz na hoga, lehaza ap ny uski koi shart nahi mannani.apni sharayet manwaye aur hamzaad ko doobara bulaney ka tareeqa bhee tey kar lein


mazeed koi sawal poochna ho to ap email bhee kar saktey hein
saadat.gillani@yahoo.com
team.roohani.guide@gmail.com


(from : team roohani guide)

Monday 11 June 2012

ROOHANI SERVICE

خوشخبری
ایسے تمام افراد جو کسی نہ کسی لا علاج مرض میں مبتلاہیں لیکن باوجود مسلسل علاج کےتندرستی نہیں ہورہی۔ ۔کاروبار کر رہے ہیں مگر اسکے عوض ترقی کی بجائےروز بروزنقصان تنزلی ہورہی ہے۔ لوگوں میں عزت نہیں۔اولاد کہنے کار نہیں۔ میاں بیوی میں لڑائی چھگڑا معمول ہو۔ سادہ الفاظ میں کہیں تو زندگی باوجود محنت اورخدمت کے بے ڈھندگی بے سکون اور اجیرن ہے تو آئیں اور ادارہ روحانی گائیڈ  کی سنہری خدمات حاصل کریں جو کہ ماہ شعبان میں مخصوص قسم کے تعویزات تیار کرنے والا ہے۔ جو تمام دوستوں کی قسم کی مشکلات اور حالات کو بدلنے کیلئیے کافی و شافی ہے۔

وہ تمام افراد بھی خصوصی طور پر رابطہ کریں جو آج تک مختلف عملیات کرتے رہے مگر اپنے مقصد میںںکامیابی سے کوسوں دور رہے ۔ انہیں ایک ایسا وظیفہ دیا جائیگا جس سے اسے نہ صرف روحانی ترقی اور قرب روحانیات نصیب ہو گی بلکہ اس وظیفہ کے کرنے کے بعد اسکا کوئی عمل بھی انشاء اللہ رائیگا ں نہ ہو گا۔


جو دوست روحانی گائیڈ کی اس سروس سے فائدہ اٹھانا چاہیں وہ اپنے مکمل نام،، والدہ کے نام،، تاریخ  پیدائش نام شہر پیدائش اپنا مکمل پتہ برائے خط و کتابت اور اپنا تفصیلی مقصد لکھ کر 20 جون سے پہلے پہلے رابطہ کریں
  
ہد یہ تعویز وعزیمت 2250 پاکستانی روپے سمیت ڈاک خرچ - اندرون پاکستان  

  ہدیہ تعویز وعزیمت 2250 پاکستانی روپے علاہ ڈاک خرچ - بیرون پاکستان  

  
aisy tmam afrad jo kisi na kisi laa ilaaj marz mien mubtala hein lekin bawajood musalsal elaaj ky sehat nahi mil rahi, karobar kar rahey hein magar bajaye tarraqi key din badin nuqsaan aur kaarobar mazeed ghat raha hey, muashery mein izzat nahi, aulad kehney kaar nahin hey, mian bivi mein aye din larai routin hey, saada alfaz mein kahein to zindagi ajeeran bani huwi hey, to mayoos na hoon idara ROOHANI GUIDE next mubarak maheeny SHABAAN UL MUAZZAM mein khaas qisam ky taweezan tayar karney wala hey jis k estemaal k baad apki koi mushkil mushkil na rahaigee aur bargaah e aizdee se karam ki chaintey apka muqadar hongey inshallah
wo tmam afraad khasoosi tour par raabta karein.amliyaat mein shouq rakhtey hon aur amliyat kar b chukey hon magar kamyaabi nadard (kamyaab na ho skey hon aur maqsad hasil na kar sakey ho esey afraad key liye b khasoosi azeemat di jaygi jiskey baad wo koi b amal kreingey inshallah kamyaabi zaroor hogi.

jo dost hamari roohani service se faida uthana chahein wo apna mukamal poora naam, waalda ka naam, tareekh paidaish shehar e paidaysh mukamal ghar ka pata baraye khato kitabat (correspondence and for post any document) key sath 20 June se pehly raabta krein. 

Hadya Pakistani rupees =2250/- jis mein keh daak ka kharcha bhi shamil hey (for pakistan)
Hadya Pakistani rupees =2250/- daak ka kharcha shamil nahin hey (for out of pakistan)

   saadat.gillani@yahoo.com 
team.roohani.guide@gmail.com

(team roohani guide)

Saturday 9 June 2012

ILME LADDUNNI - ILM E JAFFAR

Assalam o Alaikum Wa Rahmatullah
Wassalat u Ssalam o Alaika ya Rasool Allah

mohtaram qari hazraat ! is kaynat e hast o bood k  wajood mein aney k baad se Allah talaa ney apni  makhlooq ko apni marifat dena chahi. aik insaan jis maada aur bunyad aur wajhe takhleeq hi neech aur napak cheez tha, wo kiunkar is qabil hota k marifat e elahi k samundar mein ghota zan ho? wo kesy apni zaat ko is qadar sawanrtaa k bargaah  e azzawajal mein us ki tajallayun ko bardaasht  krta? kesy ye kam tar apney mabood ki azmatoon ki touseef karta. 
to rabb e kainat ni apni zaat o sifaat key jalo se insaan ko apni ma'rifat aur qurbat k liye ILM ki nemat bakhshi.

Ye alehda behas hey k ye llm konsa tha? Wahbi, ilhaami, wijdani, kitabillah ya phir kuch aur? Waqt subho sham aur hafton maheeno aur saloon ka safar karta raha, Inhi lamhaat ki gardish mein allah ne ambiyaa ko mab'oos farmaya, apney muhibeen ko mut'ayyan farmaya k meri makhlooq tak meri muhabat aur mulaqat ki khabar puhnchao aur unhein us youm e akhirat ki naveed do jb sb meri bargaah mein hazir hongey,
kuch logon ney isi ilm ki kunji se dolat pai, kuch ni a'la khulq hasil kiya, kuch ne man sanwara, aur kuch ney isey doulat e by baha jaan kar na sirf apney aap tak rakha balkeh isey allah ki amanat samjhtey huwey mazeed tosee di aur zubaan e zadey aam kia.

magar joo joo insaan apni zaat key mehvar aur apni gardish e auqat aur apney nafs k muamloo mein ulajhta gaya aur sirf aur sirf isi mien gum hota gaya wesy wesy wo ilm wo doulat wo khazana jo zuban o zade aam tha simat'ta simat'ta sirf qaloob ki chaar dewaryun mein ghir kar reh gaya.

aik khaas baat kehney wala hun k phir wo ilm esa chupa k hazrat abu hurera ne farma deya ko mujhey Nabiye Akhiruz Zaman (saw) ne do ilm ataa farmaye hein aik wo jo mein hadees ki soorat mein tum sab ko bayan karta hun aur aik wo jo mein kisi ko nahi batata agar mein wo ilm bayan kar doon to tum log mujhey jaan se maar do. ab sochye wo konsa ilm tha? jo ham tak barahey raast to na punhcha choonkeh ab us ilm ka maskan sirf qaloob they, ab mera wijdaan yeh kehta hey key wo ilm jis ko mein ilm ey ladunni b samajhta hoon wo ilm , ilme e jafar tha. jo adam as se chalta huwa nooh se agey barha ibhraheem ki zuban se ada huwa aur apney tamam tar manazil aur muqamat ko tey karta huwa akhir kaar amanat waley nabi Hazrat Muhammad saw tak puncha, apney is ilm ko apney bhai ALI ra ki jhooli mein dala un se chal kar imam zain ul abideen tak aya, uskey baad se iska bayan tazkara bilkul haq daroon aur aqrabaa, qurbat daroon aur mureedon tak ruk gaya. chonkey is ilm se marfiat elahi sirf allah ki raza se do qadam hoti hey.
(magar dhayan rahey is ilm ko hasil krney key baad amal karney se pehly apni rooh ko dhoodh se sufaid aur paak tar krna aur mushk se zayada khushboo dar karna zaroori hi nahi balkeh shart e awal hey.)
ab se inshallah mere rab ko manzoor huwa to ilm e jaffar ki regular class hogi, jiska k ye pehla lecture hey, mein sab cheezein sabqan sabqan likhon ga, keh jisko usi tarah yaad krna aur dil o dimagh mein samona aap ka kam hey.
amliyat mein har amal chahey wo hamzad ka ho, muakkalat ka ho, haazirat ka ho, ayaat e mubaraka ka ho, apna sabaq ya azeemat ya jo b apney parhna hey, wo parhai tayar karna, waqt ka tayyun karna, tadaad nikalna, bohat se zarooriyaat esi hoti hein jo keh sirf ilm e jaffar se hi poori hotei hein. maslan aik hamzad ka amal eisa hey key jis mein apney naam k a'daad nikal kar usi taadad mein aik makhsoos azeemat makhsoos tadaad mein parhna hoti hey. jis mein k hamzad 21 youm mein haazir hota hey aur muahida kar k tabaidaree mein aajta hey. bahar haal , aaj jaffar key pehley sabaq key taur par mein apko haroof yani haroof e tahajji ki tarteeb aur unki taadad nikalney ka tareeqa batata hun.

ابجد ہوزح طیکل منسع فصقر شتثخ ذ ضظغ
abjad hozah tuaikl mansakh fasqar shataskh zadzagh
inhi alfaaz ko yaad karein isi makhsoos tareeb se
ab adaad nikalney key liye inkey adad bata hun haroof e tahaaji k har haraf key qamri adaad us haraf key neechey darj hein.
 - (to be continued) -