Saturday 24 January 2015

WUSAT E RIZQ AUR ALLAH KI RAHMAT HASIL KREIN

aziz dosto ! assalam o alaikum wa rahmatullah
ye hamari bad qismati tasawur karein ya kam fehmi, k ham ney is aarzi parao ko hamesha daymi amajgaah samajh liya hey. mein tamam logo ki mushkalat aur diqqato ko samajh sakta hun k is dunya aur khaas tour par aaj ki mojoda halaat mein zindagi kesy ajeeran bana di gai hey, k sufaid posh tabqa kasmpursi ki intahai nechli satah par reh kar zindagi k din guzarney par majboor hey.
par mere dosty ! aik lamhey k liye agar ham sochein k agar ham mein sy koi na b hoga to kia dunya, hamary shehar, ya hamarey ghar k muamlaat aur hamarey sathyun ki zindgai ruk jaygi? safar e shams tham jayga? harkat e rozo shab mutaassir hogi?
nahi nahi , bilkul b nahi
ap chand lamho k liye gumaan karein k qabr ka andhera hey, chahar simt siwaye andherey k siwa kuch nahi bs ham hein aur mery Allah k muqarar kar farishtey hein.... 
us waqat kia ye dunya aur hamari kotahiyan jo ham allah ka haqooq ada karney mein bart tey they. hamara kuch saath deyin gi? nahi na?
kisi ko ye samjhayi to jawab milta hey k kia karein? bacho ka pait palna hey, ghar mein zimadari hey rizq b to kamana hey....NAMAZ ka time nahi milta.
.
.
.
.
ajayein mere pas.
Ya Allahoo (313 baar)
Ya Samadoo (313 baar)
Allahu Basti tullazi yabsuturrizqa limayashaaa u baghairee hisaab (313 baar)
 اللہ باسط الذی یبسط رزق لمن یشاؤبعیرحساب 


ye wird karein subha namaz e fajar k baad
apna rizq kamayein mera ALLAH us mein barkat daley ga, agar karobar band hey to khul jayga, agar rizq tang hey to wasee hojgaiga. rizq khud chal kar apkey pas ayga.
.
.
parhez:
1) hamesha bawazoo rahein.
2) jhoot se baaz rahein.
3) gumagar shart aik hey
4) namaz aur paaki ki pabandi

Ab ap ki rizq ki pareshani khatam honey aur rizq ki wusat ki guarantee hy, iskey baad ab aap Rab ky haqooq ka kitna khayal rakhtey hein, wo ap par munhasir hey.
.
Mene ap ki amanat ap logon tak puncha de.