Alhamdlillah i Rabbil alameen,
Wassalat o Wassalam alaikaya Sayydil Mursaleen
Wassalat o Wassalam alaikaya Sayydil Mursaleen
Mohtaram qarayeen !!!
Allah ta’alaa ka laakh laakh
ehsan keh us ne hamein aik esi shab ataa farmeyi keh jis mein ibadat o zikar
allah karna itnee fazeelat rakhta hey keh jis par tamam ambiyaa ki ummatein
rash karein. Aur Khud khudaye azzawajal apni shaan key mutabiq asmaney dunya
par tashereef latey hein aur apney bando ko nidaa detey hein keh hey koi jo aaj
ki raat mujh se mangey aur mein usey ataa karun, hey koi mujhse aulaad ka sawal
karney wala mein usey aulad don, hey koi mujhse rizq o rahat talab karney wala
keh mein uska sawal poora karun, hey koi mujhse bakhshish mangney wala keh mein
usey esa bakhshon aur aisa paak saaf karun key jesey abi key abi paida huwa ho, hey koi mujhse dosti aur talluq ki khawahish
rakhney wala keh mein usey apna raaz dan bana lon. Qissa mukhtasar koi hajat,
koi sawal, koi dua esi nahin hoti jo is raat maangi jaey aur poori na ho.
Shab e Bara’at, ji han meri
muraad mahey shaban ul moazzam ki 15wein shab , shab e bara’at hi hey, wo shab
key jis mein khudaye azzawajal apna ilam farishton par zahir karta hey aur
unhein ayinda saal mein aaney waley waqayat, asaaar, hadisaat, amwaat, inayaat,
azabaat hatta key sb kuch ayan kar deta hye, aur batata hey keh kon kon dunya
mein paida hoga, un tamam afraad key naam likhwa deta hey, kis qaum ki uskey
amaal key ba’es pakar hogi, likh deya jata hey, kis qaum ko nawaza jayga
tehreer kar dya jata hey, rizq cheenana likh daya jata hey, ataayein likh dee
jati hein, jaza o saza, izzat o zillat, har waqya, haraf ba haraf lohey mahfooz
par kandaa kar dya jata hey. Aik bat batata chalon, zehan mein ye sawal ata hey key
esa har saal kiun hota hey, rab taa’ala
aik hi dafa esa kiun nahin farma detey keh sab kuch qayamat tak likh kar
farishton key hawaley kar deyin aur qamayat tak ki rizq, mout, zindagi, jaza,
aulad, aur sab kuch aik he dafa kiun likh nahi dya jata, to arz ye hey key aisa
karna aur har saal is shab ko dohrana allah apni raza o mansha ki waja se nahi
karta balkeh is mein chupa huwa raaz ham insaano ki fitrat ko lazzat e gunah ki
taraf mayil hona hey, agar ye shab har saal na aye, to gunaahgaar kahan jayein
apney gunaho se muafi mangney, zara wo gumaan to paida karein keh aik taraf aap
ka muamla bargaah e azzawajal mein paisha ho aur us mein aynda saal sb milney
aur cheeney ka har cheez likhi jaa rahi ho aur aik taraf aap ko bata bhi deya
jaye keh wo deikho tmhara rab ye sab kuch likh raha hey, agar chaho ke likha
janey wala har hukam aur har amar e khudawandi tmhary haq mein ho to kia ham apna wo waqt shab zinda dari, shabb e baidari, astaghfaar, duaoon, tilawat aur rujoo ill allah mein nahin guzarin gey? yani ham apney haal aur a'amaal se rab ta'aala key hazoor sarapa dua ban kar ye arz kar rahey hon gey keh moula daikh ham to tere aajiz bandey hein, agar too hamari kisi bhool, kisi gunaah, kisi zulm ki waja se naraaz ho kar ham par se apni inayaat uthaney ka faisla karney wala hey to ham us zulm, gunaah aur lazzat e shahwaat se haath uthatey hein aur tere taraf rujoo kartey huwey tujh se muaafi key talabgaar hein hamein muaaf farma aur aynda saal ham par apni inayat o ehsanaaat k silsala yunhi barqaraar rakhna.
baqi tmam ebadaat to
log is shab mein zaroor bilzaroor kartey hein, nawafil ki adaiyge, khairat o
sadqaat, tasbeehat waghera, tilaawat e quran e pak, darood o naat ki
mahafil. is sab andaaz e haaye ibadat to zikr ki fazeelat ko maantey
huwey magar is se qata nazr mein is ke fazeelat key hawaly se kuch
nawafil mazeed apki nazar karta hoon, iraada to faqat aur faqat is shab
ki fazeelat o barkaat key barey mein likhney aur aap tmam ko agaah
karney ka tha, magar tawajoh aik dam is taraf chali gaye hey ke is key
baad ramzan ki amad amad hey, aik mahol bhi hoga, waqt bhi hoga,
ikhlaaqi burayon se parhaiz jaat wesy bhi rozey ki waja se ham pehly hi
kar rahey hongey, to kiun na aap ko aik ismaaye elahi ki zakat ada karney ki dawat don keh aap ka amilon
aur jadugaron key peechey bhaagna, rizq ki wusa'at key taweez hasil
karney, aulad ki talab key amal parhny, malo doulat hasil karney ky
chillon se jaan choot jaye.
mein apna mazmoon is
baat par khatam karta hon, keh ayin aur asmaaye elahi ki dawat aur
wazeefa ki zakat ada karien. keh jis ki adaygee kay bad hamein mazeed
kisi aur amal ki chandaan zaroorat na raheyge. apney naam key hisaab ya apni
pasand key ism ka intikhab karein apna wazeefa ka waqt bataein tareeqa
kaar parhai ka aap ko mail kar deya jaiga. magar qasman kehta hun jis ne
is dawat pe apney kaan dhar liye aur is dawat ko apna liya us ki dojahan
mein izzat aur a'ala darjon ki zamanat mein deta hon.